is aarzi duniya mein har baat adhuri hai
is aarzī duniyā meñ har baat adhūrī hai
har jiit hai lā-hāsil har maat adhūrī hai
kuchh der kī rim-jhim ko ma.alūm nahīñ shāyad
jal-thal na ho āñgan to barsāt adhūrī hai
kyā ḳhuub tamāsha hai ye kār-gah-e-hastī
har jism salāmat hai har zaat adhūrī hai
mahrūm-e-tamāzat din shab meñ bhī nahīñ ḳhunkī
ye kaisā ta.alluq hai har baat adhūrī hai
is aarzi duniya mein har baat adhuri hai
har jit hai la-hasil har mat adhuri hai
kuchh der ki rim-jhim ko malum nahin shayad
jal-thal na ho aangan to barsat adhuri hai
kya KHub tamasha hai ye kar-gah-e-hasti
har jism salamat hai har zat adhuri hai
mahrum-e-tamazat din shab mein bhi nahin KHunki
ye kaisa talluq hai har baat adhuri hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 118)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.