is ada se koi aaya baam par
is adā se koī aaya baam par
ho gayā dhokā sahar kā shaam par
ham se kyā dekhā jo parda kar liyā
harf aaya āshiqoñ ke naam par
ahd kar ke aap hī jab phir ga.e
zor kyā hai gardish-e-ayyām par
shādī-e-be-ma.anī be-illat nahīñ
mar-miTā huuñ phir kisī gulfām par
kis ko samjhā huuñ tirī pahlī nazar
miT rahā huuñ lazzat-e-ālām par
mar gayā sun kar naved-e-vasl-e-yār
rahmat-e-haq 'maikash'-e-nākām par
is ada se koi aaya baam par
ho gaya dhoka sahar ka sham par
hum se kya dekha jo parda kar liya
harf aaya aashiqon ke nam par
ahd kar ke aap hi jab phir gae
zor kya hai gardish-e-ayyam par
shadi-e-be-mani be-illat nahin
mar-miTa hun phir kisi gulfam par
kis ko samjha hun teri pahli nazar
miT raha hun lazzat-e-alam par
mar gaya sun kar nawed-e-wasl-e-yar
rahmat-e-haq 'maikash'-e-nakaam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.