Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

Meer Taqi Meer

is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    is ahd meñ ilāhī mohabbat ko kyā huā

    chhoḌā vafā ko un ne muravvat ko kyā huā

    ummid-vār-e-vāda-e-dīdār mar chale

    aate aate yaaro qayāmat ko kyā huā

    kab tak tazallum aah bhalā marg ke ta.iiñ

    kuchh pesh aayā vāqi.a rahmat ko kyā huā

    us ke ga.e par aise ga.e dil se ham-nashīñ

    ma.alūm bhī huā na ki tāqat ko kyā huā

    baḳhshish ne mujh ko abr-e-karam kiyā ḳhajil

    ai chashm josh-e-ashk-e-nadāmat ko kyā huā

    jaatā hai yaar teġh-ba-kaf ġhair taraf

    ai kushta-e-sitam tirī ġhairat ko kyā huā

    thī sa.ab āshiqī badāyat 'mīr' par

    kyā jāniye ki hāl-e-nihāyat ko kyā huā

    is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

    chhoDa wafa ko un ne murawwat ko kya hua

    ummid-war-e-wada-e-didar mar chale

    aate hi aate yaro qayamat ko kya hua

    kab tak tazallum aah bhala marg ke tain

    kuchh pesh aaya waqia rahmat ko kya hua

    us ke gae par aise gae dil se ham-nashin

    malum bhi hua na ki taqat ko kya hua

    baKHshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya KHajil

    ai chashm josh-e-ashk-e-nadamat ko kya hua

    jata hai yar tegh-ba-kaf ghair ki taraf

    ai kushta-e-sitam teri ghairat ko kya hua

    thi sab aashiqi ki badayat hi 'mir' par

    kya jaaniye ki haal-e-nihayat ko kya hua

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mehdi Hasan

    Mehdi Hasan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now