is baat ko bhulen na musalman KHuda ke
is baat ko bhūleñ na musalmān ḳhudā ke
kāfir bhī haqīqat meñ haiñ insān ḳhudā ke
vo kaun hai jis ko nahīñ kuchh us se shikāyat
vo kaun hai jis par nahīñ ehsān ḳhudā ke
baḌhtā hī chalā jaatā hai duniyā meñ ta.assub
bante hī chale jaate haiñ aivān ḳhudā ke
jaltī haiñ bahar-hāl gunāhoñ kī sazā.eñ
karte raheñ ham kitne bhī gun-gān ḳhudā ke
duniyā to haqīqat meñ hai ik rain-baserā
ham sab to haiñ kuchh vaqt ke mehmān ḳhudā ke
mar kar bhī zarūrī nahīñ pā.eñge rihā.ī
duniyā ke alāva bhī haiñ zindān ḳhudā ke
socho to zarā bhī nahīñ insān kī vaq.at
sudh-budh bhī ḳhudā kī hai dil-o-jān ḳhudā ke
'parvāz' kabhī ġhaur se ye baat bhī socheñ
ik baar bhī kaam aaya hai insān ḳhudā ke
is baat ko bhulen na musalman KHuda ke
kafir bhi haqiqat mein hain insan KHuda ke
wo kaun hai jis ko nahin kuchh us se shikayat
wo kaun hai jis par nahin ehsan KHuda ke
baDhta hi chala jata hai duniya mein tassub
bante hi chale jate hain aiwan KHuda ke
jalti hain bahar-haal gunahon ki sazaen
karte rahen hum kitne bhi gun-gan KHuda ke
duniya to haqiqat mein hai ek rain-basera
hum sab to hain kuchh waqt ke mehman KHuda ke
mar kar bhi zaruri nahin paenge rihai
duniya ke alawa bhi hain zindan KHuda ke
socho to zara bhi nahin insan ki waqat
sudh-budh bhi KHuda ki hai dil-o-jaan KHuda ke
'parwaz' kabhi ghaur se ye baat bhi sochen
ek bar bhi kaam aaya hai insan KHuda ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.