is bazm mein mera koi dam-saz nahin hai
is bazm meñ merā koī dam-sāz nahīñ hai
shāhīñ huuñ magar tāqat-e-parvāz nahīñ hai
ai zauq-e-talab mujh ko tirī daad kā shikva
maanā ki abhī tū mirā hamrāz nahīñ hai
takmīl-talab hai abhī ulfat kā fasāna
shoḳhī nahīñ vahshat nahīñ andāz nahīñ hai
jannat se chalī aa.e agar huur to be-kār
vo naaz nahīñ us meñ vo andāz nahīñ hai
hangāma-e-hastī meñ huuñ 'armān' maiñ majbūr
ye terī sadā hai mirī āvāz nahīñ hai
is bazm mein mera koi dam-saz nahin hai
shahin hun magar taqat-e-parwaz nahin hai
ai zauq-e-talab mujh ko teri dad ka shikwa
mana ki abhi tu mera hamraaz nahin hai
takmil-talab hai abhi ulfat ka fasana
shoKHi nahin wahshat nahin andaz nahin hai
jannat se chali aae agar hur to be-kar
wo naz nahin us mein wo andaz nahin hai
hangama-e-hasti mein hun 'arman' main majbur
ye teri sada hai meri aawaz nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.