is be-basarati mein bhi ye guf-fishaniyan
is be-basāratī meñ bhī ye guf-fishāniyāñ
kyā khul ga.iiñ dimāġh kī andar ko khiḌkiyāñ
hote haiñ māñgne ke bhī ādāb kuchh miyāñ
ḳhālī paḌī haiñ aql se kitnī hī bastiyāñ
qufl-e-ġham-e-hayāt na TuuTā na dar khulā
ham ne lagā.īñ laakh mohabbat kī chābiyāñ
ehsās rang bhartā hai jab sānehāt meñ
haath aa.ī haiñ to sirf ta.assub kī titliyāñ
ham ko to ḳhār-zāroñ se bhī kad nahīñ koī
phūloñ kī vādiyāñ to haiñ phūloñ kī vādiyāñ
sūraj jo aayā sar pe to saa.e simaT ga.e
jaagī ḳhushī to chhaT ga.iiñ ḳhud hī udāsiyāñ
kuchh baat hai ki zo.af-e-basārat ke ba.ad bhī
'tanhā' ko suujh jaatī haiñ auroñ pe phabtiyāñ
is be-basarati mein bhi ye guf-fishaniyan
kya khul gain dimagh ki andar ko khiDkiyan
hote hain mangne ke bhi aadab kuchh miyan
KHali paDi hain aql se kitni hi bastiyan
qufl-e-gham-e-hayat na TuTa na dar khula
hum ne lagain lakh mohabbat ki chabiyan
ehsas rang bharta hai jab sanehat mein
hath aai hain to sirf tassub ki titliyan
hum ko to KHar-zaron se bhi kad nahin koi
phulon ki wadiyan to hain phulon ki wadiyan
suraj jo aaya sar pe to sae simaT gae
jagi KHushi to chhaT gain KHud hi udasiyan
kuchh baat hai ki zoaf-e-basarat ke baad bhi
'tanha' ko sujh jati hain auron pe phabtiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.