is daur mein to main bhi baDa KHush-nasib tha
is daur mein to main bhi baDa KHush-nasib tha
Zaryab Hasan Taheem
MORE BYZaryab Hasan Taheem
is daur meñ to maiñ bhī baḌā ḳhush-nasīb thā
jis daur meñ huzūr vo mere qarīb thā
un ke ḳharīdne se hī anmol maiñ huā
varna to maiñ huzūr baḌā hī ġharīb thā
āḳhir mujhe hī marnā paḌā rāh-e-ishq meñ
sab se baḌā to us kā miyāñ maiñ raqīb thā
mujh ko na chhoḌ mere rafīq ab yuuñ raah meñ
pahle hī bol detā agar maiñ ajiib thā
is daur mein to main bhi baDa KHush-nasib tha
jis daur mein huzur wo mere qarib tha
un ke KHaridne se hi anmol main hua
warna to main huzur baDa hi gharib tha
aaKHir mujhe hi marna paDa rah-e-ishq mein
sab se baDa to us ka miyan main raqib tha
mujh ko na chhoD mere rafiq ab yun rah mein
pahle hi bol deta agar main ajib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.