is duniyā kī pyārī miTTī
khel tamāsha saarī miTTī
bādal barse bhīgī havā.eñ
mahkī phir se saarī miTTī
sar par le kar dhānī chūnar
kyā gaa.e gulnārī miTTī
jī halkā to halkī miTTī
jī bhārī to bhārī miTTī
miTTī se jab jiitī miTTī
miTTī se hī haarī miTTī
miTTī uupar jaltī miTTī
miTTī biich utārī miTTī
saare sadme sah letī hai
bebas sī bechārī miTTī
kaisī bikhrī dekho āḳhir
ye qismat kī maarī miTTī
maiñ saḌkoñ kī dhuul huā phir
vo niklī sansārī miTTī
is duniya ki pyari miTTi
khel tamasha sari miTTi
baadal barse bhigi hawaen
mahki phir se sari miTTi
sar par le kar dhani chunar
kya gae gulnari miTTi
ji halka to halki miTTi
ji bhaari to bhaari miTTi
miTTi se jab jiti miTTi
miTTi se hi haari miTTi
miTTi upar jalti miTTi
miTTi bich utari miTTi
sare sadme sah leti hai
bebas si bechaari miTTi
kaisi bikhri dekho aaKHir
ye qismat ki mari miTTi
main saDkon ki dhul hua phir
wo nikli sansari miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.