is ek Dar se KHwab dekhta nahin
is ek Dar se ḳhvāb dekhtā nahīñ
maiñ jo bhī dekhtā huuñ bhūltā nahīñ
kisī muñDer par koī diyā jalā
phir is ke baad kyā huā patā nahīñ
abhī se haath kāñpne lage mire
abhī to maiñ ne vo badan chhuā nahīñ
maiñ aa rahā thā rāste meñ phuul the
maiñ jā rahā huuñ koī roktā nahīñ
tirī taraf chale to umr kaT ga.ī
ye aur baat rāsta kaTā nahīñ
maiñ raah se bhaTak gayā to kyā huā
charāġh mere haath meñ to thā nahīñ
maiñ in dinoñ huuñ ḳhud se itnā be-ḳhabar
maiñ mar chukā huuñ aur mujhe patā nahīñ
us azhdahe kī aañkh pūchhtī rahī
kisī ko ḳhauf aa rahā hai yā nahīñ
ye ishq bhī ajab ki ek shaḳhs se
mujhe lagā ki ho gayā huā nahīñ
ḳhudā kare vo peḌ ḳhairiyat se ho
ka.ī dinoñ se us kā rābta nahīñ
is ek Dar se KHwab dekhta nahin
main jo bhi dekhta hun bhulta nahin
kisi munDer par koi diya jala
phir is ke baad kya hua pata nahin
abhi se hath kanpne lage mere
abhi to main ne wo badan chhua nahin
main aa raha tha raste mein phul the
main ja raha hun koi rokta nahin
teri taraf chale to umr kaT gai
ye aur baat rasta kaTa nahin
main rah se bhaTak gaya to kya hua
charagh mere hath mein to tha nahin
main in dinon hun KHud se itna be-KHabar
main mar chuka hun aur mujhe pata nahin
us azhdahe ki aankh puchhti rahi
kisi ko KHauf aa raha hai ya nahin
ye ishq bhi ajab ki ek shaKHs se
mujhe laga ki ho gaya hua nahin
KHuda kare wo peD KHairiyat se ho
kai dinon se us ka rabta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.