is ek Dar se KHwab dekhta nahin
is ek Dar se ḳhvāb dekhtā nahīñ
jo dekhtā huuñ maiñ vo bhūltā nahīñ
kisī muñDer par koī diyā jilā
phir is ke ba.ad kyā huā patā nahīñ
maiñ aa rahā thā rāste maiñ phuul the
maiñ jā rahā huuñ koī roktā nahīñ
tirī taraf chale to umr kaT ga.ī
ye aur baat rāsta kaTā nahīñ
is azhdahe kī aañkh pūchhtī rahī
kisī ko ḳhauf aa rahā hai yā nahīñ
maiñ in dinoñ huuñ ḳhud se itnā be-ḳhabar
maiñ bujh chukā huuñ aur mujhe patā nahīñ
ye ishq bhī ajab ki ek shaḳhs se
mujhe lagā ki ho gayā huā nahīñ
is ek Dar se KHwab dekhta nahin
jo dekhta hun main wo bhulta nahin
kisi munDer par koi diya jila
phir is ke baad kya hua pata nahin
main aa raha tha raste main phul the
main ja raha hun koi rokta nahin
teri taraf chale to umr kaT gai
ye aur baat rasta kaTa nahin
is azhdahe ki aankh puchhti rahi
kisi ko KHauf aa raha hai ya nahin
main in dinon hun KHud se itna be-KHabar
main bujh chuka hun aur mujhe pata nahin
ye ishq bhi ajab ki ek shaKHs se
mujhe laga ki ho gaya hua nahin
- Book : Dunya Zaad (Pg. 135)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.