is gali mein kuchh nahin bas ghaTta baDhta shor hai
is galī meñ kuchh nahīñ bas ghaTtā baḌhtā shor hai
ik makīñ kī ḳhāmushī hai ik makāñ kā shor hai
shām-e-shor-angez ye sab kyā hai be-hadd-o-hisāb
itnī āvāzeñ nahīñ duniyā meñ jitnā shor hai
ek mazmūñ hai par aapas meñ sabaq miltā nahīñ
apnī apnī ḳhāmushī hai apnā apnā shor hai
naql kartī hai mire chalte meñ vīrānī mirī
ye jo mere shor-e-pā se miltā-jultā shor hai
maiñ ye kyā yaktā-e-hangāma huuñ apne chār-sū
kyā akelī hā-o-hū hai kaisā tanhā shor hai
ḳhālī dil phir ḳhālī dil hai ḳhālī ghar kī bhī na pūchh
achchhe ḳhāse log haiñ aur achchhā-ḳhāsā shor hai
sāmne kī yaad juḌtī hai bahut pīchhe kahīñ
sab 'aqab se aa rahā hai aage jitnā shor hai
is gali mein kuchh nahin bas ghaTta baDhta shor hai
ek makin ki KHamushi hai ek makan ka shor hai
sham-e-shor-angez ye sab kya hai be-hadd-o-hisab
itni aawazen nahin duniya mein jitna shor hai
ek mazmun hai par aapas mein sabaq milta nahin
apni apni KHamushi hai apna apna shor hai
naql karti hai mere chalte mein virani meri
ye jo mere shor-e-pa se milta-julta shor hai
main ye kya yakta-e-hangama hun apne chaar-su
kya akeli ha-o-hu hai kaisa tanha shor hai
KHali dil phir KHali dil hai KHali ghar ki bhi na puchh
achchhe KHase log hain aur achchha-KHasa shor hai
samne ki yaad juDti hai bahut pichhe kahin
sab 'aqab se aa raha hai aage jitna shor hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 22)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.