is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main
is gardish-e-mudām se ghabrā gayā huuñ maiñ
raftār ek sī hai to uktā gayā huuñ maiñ
har pal hujūm-e-yās kā paikar banā huā
aksar is ek haal meñ dekhā gayā huuñ maiñ
pazhmurda zindagī se to pīchhā chhuTe ki bas
har din ḳhushī kī aas meñ martā gayā huuñ maiñ
apnoñ ko apnā kahte hue aa.e sharm sī
kis kis nazar se dosto dekhā gayā huuñ maiñ
maiñ ne nadīm rakh to liyā husn kā bharam
par ishq kī chitā meñ jalāyā gayā huuñ maiñ
le kar uThā huuñ phir se maiñ ik aur azm-e-nau
'āzim' ke naam se bhī to jaanā gayā huuñ maiñ
is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main
raftar ek si hai to ukta gaya hun main
har pal hujum-e-yas ka paikar bana hua
aksar is ek haal mein dekha gaya hun main
pazhmurda zindagi se to pichha chhuTe ki bas
har din KHushi ki aas mein marta gaya hun main
apnon ko apna kahte hue aae sharm si
kis kis nazar se dosto dekha gaya hun main
main ne nadim rakh to liya husn ka bharam
par ishq ki chita mein jalaya gaya hun main
le kar uTha hun phir se main ek aur azm-e-nau
'azim' ke nam se bhi to jaana gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.