is hawale se use pand-e-shakebai ho
is havāle se use pand-e-shakebā.ī ho
tere zaḳhmoñ kī miyāñ itnī to gahrā.ī ho
kaise phir mujh ko ḳhayāl aa.e mulāqāt kā dost
jab tirā naam bhī lene meñ rusvā.ī ho
jab bayāñ hone lageñ poreñ zabāñ chhū jaa.eñ
merī taklīf kī kuchh aisī pazīrā.ī ho
terī harakat kī badaulat hai ibādat merī
tū jahāñ pair rakhe merī jabīñ-sā.ī ho
kaash vo chhat pe khaḌī baal sukhātī ho ġhazal
āḳhirī hī sahī par ḳhvāhish-e-añgḌā.ī ho
is hawale se use pand-e-shakebai ho
tere zaKHmon ki miyan itni to gahrai ho
kaise phir mujh ko KHayal aae mulaqat ka dost
jab tera nam bhi lene mein ruswai ho
jab bayan hone lagen poren zaban chhu jaen
meri taklif ki kuchh aisi pazirai ho
teri harakat ki badaulat hai ibaadat meri
tu jahan pair rakhe meri jabin-sai ho
kash wo chhat pe khaDi baal sukhati ho ghazal
aaKHiri hi sahi par KHwahish-e-angDai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.