is husn-e-be-karan ko KHuda aagahi bhi de
is husn-e-be-karāñ ko ḳhudā āgahī bhī de
dariyā diyā hai is ko to dariyā-dilī bhī de
ḳhud ko na bhuul jā.ūñ to kyā sajda-e-vafā
allāh mere ishq ko dīvāngī bhī de
us sañg-dil se ham ko mohabbat kī aas hai
sūraj se chāhte haiñ hameñ chāñdnī bhī de
patthar ke ham-saroñ meñ utārā tirī razā
ab kam se kam shu.ūr-e-fan-e-āzarī bhī de
us ko agar diyā hai chaTānoñ sā karr-o-far
dariyā kī mauj jaisī mujhe ḳhud-sarī bhī de
is husn-e-be-karan ko KHuda aagahi bhi de
dariya diya hai is ko to dariya-dili bhi de
KHud ko na bhul jaun to kya sajda-e-wafa
allah mere ishq ko diwangi bhi de
us sang-dil se hum ko mohabbat ki aas hai
suraj se chahte hain hamein chandni bhi de
patthar ke ham-saron mein utara teri raza
ab kam se kam shuur-e-fan-e-azari bhi de
us ko agar diya hai chaTanon sa karr-o-far
dariya ki mauj jaisi mujhe KHud-sari bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.