is ishq-e-junun-KHez mein kya kya nahin hota
is ishq-e-junūñ-ḳhez meñ kyā kyā nahīñ hotā
dīvāna hai jo qais se lailā nahīñ hotā
kuchh hashr lahad par abhī barpā nahīñ hotā
aa.e ho to Thahro koī zinda nahīñ hotā
kyuuñ kar ye kahūñ husn kā nashsha nahīñ hotā
hotā to bahut hai magar itnā nahīñ hotā
kuchh kahiye to sharmā ke jhukā lete haiñ gardan
bhūle se bhī ab vāda-e-fardā nahīñ hotā
milte haiñ vo dil surḳh huī jaatī hai chuTkī
nāzuk haiñ bahut ḳhūn-e-tamannā nahīñ hotā
detī hai mazā mai kā hameñ talḳhī-e-tauba
jab haath meñ paimāna-e-sahbā nahīñ hotā
vo hashr ke din kushte ko Thukrā chuke sau-bār
kuchh jaan sī paḌ jaatī hai zinda nahīñ hotā
bolī ye tamannā jo ruke vo dar-e-dil par
ghar aap kā hai aap se pardā nahīñ hotā
tīroñ ko jagah dete haiñ jo siine meñ apne
un logoñ ke ai jaan kaleja nahīñ hotā
sahrā se qadam ghar kī taraf ḳhaak uThā.ūñ
kāñTe se judā paañv kā chhālā nahīñ hotā
baiThe nazar aate haiñ vahī terī galī meñ
jin kā kahīñ duniyā meñ Thikānā nahīñ hotā
furqat meñ hai kyuuñ naza.a kī taklīf gavārā
mar jaa.eñ 'riyāz' aap se itnā nahīñ hotā
is ishq-e-junun-KHez mein kya kya nahin hota
diwana hai jo qais se laila nahin hota
kuchh hashr lahad par abhi barpa nahin hota
aae ho to Thahro koi zinda nahin hota
kyun kar ye kahun husn ka nashsha nahin hota
hota to bahut hai magar itna nahin hota
kuchh kahiye to sharma ke jhuka lete hain gardan
bhule se bhi ab wada-e-farda nahin hota
milte hain wo dil surKH hui jati hai chuTki
nazuk hain bahut KHun-e-tamanna nahin hota
deti hai maza mai ka hamein talKHi-e-tauba
jab hath mein paimana-e-sahba nahin hota
wo hashr ke din kushte ko Thukra chuke sau-bar
kuchh jaan si paD jati hai zinda nahin hota
boli ye tamanna jo ruke wo dar-e-dil par
ghar aap ka hai aap se parda nahin hota
tiron ko jagah dete hain jo sine mein apne
un logon ke ai jaan kaleja nahin hota
sahra se qadam ghar ki taraf KHak uThaun
kanTe se juda panw ka chhaala nahin hota
baiThe nazar aate hain wahi teri gali mein
jin ka kahin duniya mein Thikana nahin hota
furqat mein hai kyun naza ki taklif gawara
mar jaen 'riyaz' aap se itna nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.