is ishq ka anjam main kuchh soch raha hun
is ishq kā anjām maiñ kuchh soch rahā huuñ
haañ ai havas-e-ḳhām maiñ kuchh soch rahā huuñ
ḳhālī hue sab jaam nahīñ koī bhī mai-kash
ai durd-e-tah-e-jām maiñ kuchh soch rahā huuñ
jī bhar ke tujhe aaj maiñ dekhūñ ki na dekhūñ
ai husn-e-lab-e-bām maiñ kuchh soch rahā huuñ
apne dil-e-betāb se maiñ ḳhud huuñ pareshāñ
kyā duuñ unheñ ilzām maiñ kuchh soch rahā huuñ
mere liye mahbūb kī zulfoñ kī havā lā
ai gardish-e-ayyām maiñ kuchh soch rahā huuñ
taare se chamakne lage tārīk fazā meñ
hāthoñ meñ liye jaam maiñ kuchh soch rahā huuñ
ik vo bhī zamāna thā ki fāriġh thā maiñ 'sāqib'
ab to sahar-o-shām maiñ kuchh soch rahā huuñ
is ishq ka anjam main kuchh soch raha hun
han ai hawas-e-KHam main kuchh soch raha hun
KHali hue sab jam nahin koi bhi mai-kash
ai durd-e-tah-e-jam main kuchh soch raha hun
ji bhar ke tujhe aaj main dekhun ki na dekhun
ai husn-e-lab-e-baam main kuchh soch raha hun
apne dil-e-betab se main KHud hun pareshan
kya dun unhen ilzam main kuchh soch raha hun
mere liye mahbub ki zulfon ki hawa la
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha hun
tare se chamakne lage tarik faza mein
hathon mein liye jam main kuchh soch raha hun
ek wo bhi zamana tha ki farigh tha main 'saqib'
ab to sahar-o-sham main kuchh soch raha hun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 269)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.