is ishq mein darkar kahani hai zaruri
is ishq meñ darkār kahānī hai zarūrī
tum zaḳhm atā kar do nishānī hai zarūrī
ik baat hai jo tujh ko batānī hai zarūrī
par zehn meñ mere bhī to aanī hai zarūrī
kitnā hī ghanā kyuuñ na ho ab raah kā jañgal
lekin mirī manzil mujhe paanī hai zarūrī
ḳhushkī pe havā rahne na degī koī manzar
āñkheñ haiñ mire paas to paanī hai zarūrī
is ishq mein darkar kahani hai zaruri
tum zaKHm ata kar do nishani hai zaruri
ek baat hai jo tujh ko batani hai zaruri
par zehn mein mere bhi to aani hai zaruri
kitna hi ghana kyun na ho ab rah ka jangal
lekin meri manzil mujhe pani hai zaruri
KHushki pe hawa rahne na degi koi manzar
aankhen hain mere pas to pani hai zaruri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.