is jada-e-ushshaq ki taqdir ajab hai
is jāda-e-ushshāq kī taqdīr ajab hai
muTThī meñ jahāñ paañv meñ zanjīr ajab hai
be-vaq.at-o-kam-māya sahī ḳhvāb hamāre
ḳhvāboñ se alag hone kī ta.azīr ajab hai
maiñ sher kahūñ aur tire naam pe ro duuñ
ye rañj kā pairā-e-dil-gīr ajab hai
āñkhoñ meñ bichhe surma.ī maḳhmal kī adā aur
mahmil meñ phaTe hoñToñ kī tahqīr ajab hai
har iiñT mirī nazm ko detī hai dilāsā
ye kunj-e-ġhazal sahn-e-mazā miir ajab hai
dāġhoñ kī bahāroñ se mo.attar hai koī jism
aur ism paḌhe jaane meñ tāḳhīr ajab hai
ye ḳhāk-basar husn ye mahtāb kī Tahnī
roñdī huī sabze kī ye jāgīr ajab hai
nīlā.e hue sehnoñ kī bastī meñ hai kohrām
daryāfta sayyāre kī tasḳhīr ajab hai
dil sakte ke aalam se nikaltā nahīñ 'āmir'
ik baat ke sah jaane kī tāsīr ajab hai
is jada-e-ushshaq ki taqdir ajab hai
muTThi mein jahan panw mein zanjir ajab hai
be-waqat-o-kam-maya sahi KHwab hamare
KHwabon se alag hone ki tazir ajab hai
main sher kahun aur tere nam pe ro dun
ye ranj ka paira-e-dil-gir ajab hai
aankhon mein bichhe surmai maKHmal ki ada aur
mahmil mein phaTe honTon ki tahqir ajab hai
har inT meri nazm ko deti hai dilasa
ye kunj-e-ghazal sahn-e-maza mir ajab hai
daghon ki bahaaron se moattar hai koi jism
aur ism paDhe jaane mein taKHir ajab hai
ye KHak-basar husn ye mahtab ki Tahni
rondi hui sabze ki ye jagir ajab hai
nilae hue sehnon ki basti mein hai kohram
daryafta sayyare ki tasKHir ajab hai
dil sakte ke aalam se nikalta nahin 'amir'
ek baat ke sah jaane ki tasir ajab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.