is jahan se koi bhi sauda na kar
is jahāñ se koī bhī saudā na kar
dekh apne aap ko rusvā na kar
chhīn kar yādoñ kā sarmāya mirī
is bharī mahfil meñ yuuñ tanhā na kar
ajnabī huuñ ajnabī hī rahne de
is tarah merī taraf dekhā na kar
pattharoñ kī choT sah letā huuñ maiñ
phuul yuuñ merī taraf pheñkā na kar
kar 'sahar' kī aabrū kā kuchh ḳhayāl
mahfil-e-aġhyār meñ charchā na kar
is jahan se koi bhi sauda na kar
dekh apne aap ko ruswa na kar
chhin kar yaadon ka sarmaya meri
is bhari mahfil mein yun tanha na kar
ajnabi hun ajnabi hi rahne de
is tarah meri taraf dekha na kar
pattharon ki choT sah leta hun main
phul yun meri taraf phenka na kar
kar 'sahar' ki aabru ka kuchh KHayal
mahfil-e-aghyar mein charcha na kar
- Book : Ahad-e-rafta (Pg. 72)
- Author : Ramzan Ali Sahar
- Publication : Ramzan Ali Sahar (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.