Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar

Anwar Kaifi

is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar

Anwar Kaifi

MORE BYAnwar Kaifi

    is ke aage pyaar ke jazboñ ārā.ish na kar

    zard registān meñ phūloñ afzā.ish na kar

    ye to ho saktā hai ki donoñ manzil ek ho

    phir bhī us ke ham-safar hone farmā.ish na kar

    munhasir us par bhī hai vo paas aa.e na aa.e

    ai mire dil qurbatoñ mujh se farmā.ish na kar

    ham ne maanā chāñd raushan tirā mahbūb hai

    magar us chāñd lafzoñ se paimā.ish na kar

    ḳhud pe jo nāzāñ hai 'anvar' terī chāhat par nahīñ

    us parī-paikar ke aage dil zebā.ish na kar

    is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar

    zard registan mein phulon ki afzaish na kar

    ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho

    phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na kar

    munhasir us par bhi hai wo pas aae ya na aae

    ai mere dil qurbaton ki mujh se farmaish na kar

    hum ne mana chand sa raushan tera mahbub hai

    tu magar us chand ki lafzon se paimaish na kar

    KHud pe jo nazan hai 'anwar' teri chahat par nahin

    us pari-paikar ke aage dil ki zebaish na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now