is KHak-dan mein ab tak baqi hain kuchh sharar se
is ḳhāk-dāñ meñ ab tak baaqī haiñ kuchh sharar se
dāman bachā ke guzro yādoñ kī rahguzar se
har har qadam pe āñkheñ thiiñ farsh-e-rāh lekin
vo raushnī kā haalā utrā na baam par se
kyuuñ jāda-e-vafā par mish.al-ba-kaf khaḌe ho
is sail-e-tīrgī meñ niklegā kaun ghar se
kis dasht kī sadā ho itnā mujhe batā do
har-sū bichhe haiñ raste aa.uuñ to maiñ kidhar se
ujḌā huā makāñ hai ye dil jahāñ pe har shab
parchhā.iyāñ lipaT kar rotī haiñ bām-o-dar se
is KHak-dan mein ab tak baqi hain kuchh sharar se
daman bacha ke guzro yaadon ki rahguzar se
har har qadam pe aankhen thin farsh-e-rah lekin
wo raushni ka haala utra na baam par se
kyun jada-e-wafa par mishal-ba-kaf khaDe ho
is sail-e-tirgi mein niklega kaun ghar se
kis dasht ki sada ho itna mujhe bata do
har-su bichhe hain raste aaun to main kidhar se
ujDa hua makan hai ye dil jahan pe har shab
parchhaiyan lipaT kar roti hain baam-o-dar se
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.