is khurduri ghazal ko na yun munh bana ke dekh
is khurdurī ġhazal ko na yuuñ muñh banā ke dekh
kis haal meñ likhī hai mire paas aa ke dekh
vo din havā hue ki bichhāte the jaan o dil
ab ek baar aur hameñ muskurā ke dekh
parda paḌā huā hai tabassum ke raaz par
phūloñ se os aañkh se aañsū girā ke dekh
ye dopahar bhī aa.ī hai parchhā.iyoñ ke saath
vaise nazar na aa.eñ to mash.al jalā ke dekh
gulchīñ ne jab tamām shagūfoñ ko chun liyā
kāñTe pukār uThe ki hameñ aazmā ke dekh
tū merā ham-safar hai to phir mere saath chal
hai rāhzan to naqsh-e-qadam rahnumā ke dekh
apnī nazar se dekh barahna hayāt ko
ā.ankhoñ se ye kitāb kī ainak haTā ke dekh
az-rāh-e-ehtiyāt safar ko na ḳhatm kar
ye phuul haiñ ki aag qadam to jamā ke dekh
Thappa lagā huā hai 'muzaffar' ke naam kā
us kā koī bhī sher kahīñ se uThā ke dekh
is khurduri ghazal ko na yun munh bana ke dekh
kis haal mein likhi hai mere pas aa ke dekh
wo din hawa hue ki bichhate the jaan o dil
ab ek bar aur hamein muskura ke dekh
parda paDa hua hai tabassum ke raaz par
phulon se os aankh se aansu gira ke dekh
ye dopahar bhi aai hai parchhaiyon ke sath
waise nazar na aaen to mashal jala ke dekh
gulchin ne jab tamam shagufon ko chun liya
kanTe pukar uThe ki hamein aazma ke dekh
tu mera ham-safar hai to phir mere sath chal
hai rahzan to naqsh-e-qadam rahnuma ke dekh
apni nazar se dekh barahna hayat ko
aaankhon se ye kitab ki ainak haTa ke dekh
az-rah-e-ehtiyat safar ko na KHatm kar
ye phul hain ki aag qadam to jama ke dekh
Thappa laga hua hai 'muzaffar' ke nam ka
us ka koi bhi sher kahin se uTha ke dekh
- Book : kamaan (Pg. 230)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.