isko aankhon pe war den aankhen
is kī āñkhoñ pe vaar deñ āñkheñ
ik nazar hī meñ haar deñ āñkheñ
dil mujhe us ne be-qarār diyā
aur be-iḳhtiyār diiñ āñkheñ
pahle chehra chhupā liyā us ne
ba.ad meñ ishtihār diiñ āñkheñ
dil vahīñ rah gayā jahāñ ham ne
sarsarī sī guzār diiñ āñkheñ
ḳhvāb mere churā liye us ne
jis ko maiñ ne udhār diiñ āñkheñ
maiñ ne āñkhoñ meñ jhāñknā chāhā
us ne dil meñ utaar diiñ āñkheñ
maiñ to ḳhāmosh hī rahā lekin
vaqt-e-ruḳhsat pukār diiñ āñkheñ
tū bhī 'momin' kamāl kartā hai
tū ne sūraj se chaar diiñ āñkheñ
is ki aankhon pe war den aankhen
ek nazar hi mein haar den aankhen
dil mujhe us ne be-qarar diya
aur be-iKHtiyar din aankhen
pahle chehra chhupa liya us ne
baad mein ishtihaar din aankhen
dil wahin rah gaya jahan hum ne
sarsari si guzar din aankhen
KHwab mere chura liye us ne
jis ko main ne udhaar din aankhen
main ne aankhon mein jhankna chaha
us ne dil mein utar din aankhen
main to KHamosh hi raha lekin
waqt-e-ruKHsat pukar din aankhen
tu bhi 'momin' kamal karta hai
tu ne suraj se chaar din aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.