isko baat ka panw na sar
is kī baat kā paañv na sar
phir bhī charchā hai ghar ghar
chiil ne anDā chhoḌ diyā
sūraj aan girā chhat par
achchhā to shādī kar lī
jā ab bachche paidā kar
le ye patthar haath meñ le
maar ise mere sar par
phūhaḌ is mahñgā.ī meñ
aaTā to giilā mat kar
mere patte dekh zarā
do ikke aur ik joker
us kā TeḌhā uuñT na dekh
apnā ullū sīdhā kar
biivī akelī Dartī hai
shaam huī ab chaliye ghar
'alvī' 'ādil' aur 'zafar'
tīnoñ ke tīnoñ andar
is ki baat ka panw na sar
phir bhi charcha hai ghar ghar
chil ne anDa chhoD diya
suraj aan gira chhat par
achchha to shadi kar li
ja ab bachche paida kar
le ye patthar hath mein le
mar ise mere sar par
phuhaD is mahngai mein
aaTa to gila mat kar
mere patte dekh zara
do ikke aur ek joker
us ka TeDha unT na dekh
apna ullu sidha kar
biwi akeli Darti hai
sham hui ab chaliye ghar
'alwi' 'adil' aur 'zafar'
tinon ke tinon andar
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 212)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.