uski shabahat kisi shams-o-qamar mein nahin
us kī shabāhat kisī shams-o-qamar meñ nahīñ
ek use dekh kar koī nazar meñ nahīñ
qāsid zohra maqām kah use merā salām
jis kā nasheman mirī rāhguzar meñ nahīñ
kyā kashish jazb-e-dil tujh meñ kamī hai ki vo
mehvar-e-sayyārgāñ tere asar meñ nahīñ
chashm-e-sitārā-shumār kushta-sadā intizār
diid kī koī naved najm-e-sahar meñ nahīñ
ham jo dikhāte nahīñ lāla-o-gul kī tarah
ye na samajhnā koī daaġh jigar meñ nahīñ
sabz qabā-e-chaman sirf fareb-e-nazar
aas kī koñpal kisī shāḳh-e-shajar meñ nahīñ
ek tujhī ko 'sabā' kyuuñ hai thakan kā gilā
mauja-e-gul aur havā kaun safar meñ nahīñ
us ki shabahat kisi shams-o-qamar mein nahin
ek use dekh kar koi nazar mein nahin
qasid zohra maqam kah use mera salam
jis ka nasheman meri rahguzar mein nahin
kya kashish jazb-e-dil tujh mein kami hai ki wo
mehwar-e-sayyargan tere asar mein nahin
chashm-e-sitara-shumar kushta-sada intizar
did ki koi nawed najm-e-sahar mein nahin
hum jo dikhate nahin lala-o-gul ki tarah
ye na samajhna koi dagh jigar mein nahin
sabz qaba-e-chaman sirf fareb-e-nazar
aas ki konpal kisi shaKH-e-shajar mein nahin
ek tujhi ko 'saba' kyun hai thakan ka gila
mauja-e-gul aur hawa kaun safar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.