is lab kun kab pasand hain rasmi kaToriyan
is lab kuuñ kab pasand haiñ rasmī kaToriyāñ
laala ke phuul kī haiñ jise qahva ḳhoriyāñ
dām-o-qafas na chāhiye dil ke shikār kuuñ
kartī haiñ band aañkh ke Doroñ kī Doriyāñ
hai bas ki daur-e-sāġhar-e-chashm-e-parī-ruḳhāñ
gir ga.ī haiñ dil ke taaq señ nargis kī ġhoriyāñ
hañste ho kyuuñ jo tum ne mirā dil nahīñ liye
ma.alūm huiiñ tumhārī nigāhoñ kī choriyāñ
ab ġham kī raat sair-e-charāġhāñ hai ai 'sirāj'
ye ashk garm tel hai āñkheñ sakoriyāñ
is lab kun kab pasand hain rasmi kaToriyan
lala ke phul ki hain jise qahwa KHoriyan
dam-o-qafas na chahiye dil ke shikar kun
karti hain band aankh ke Doron ki Doriyan
hai bas ki daur-e-saghar-e-chashm-e-pari-ruKHan
gir gai hain dil ke taq sen nargis ki ghoriyan
hanste ho kyun jo tum ne mera dil nahin liye
malum huin tumhaari nigahon ki choriyan
ab gham ki raat sair-e-charaghan hai ai 'siraj'
ye ashk garm tel hai aankhen sakoriyan
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 524)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.