is lagam se chhuTe us lagam tak pahunche
is lagam se chhuTe us lagam tak pahunche
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
is lagām se chhūTe us lagām tak pahuñche
ham pachās sāloñ meñ is maqām tak pahuñche
muqtadī to bechāre kab ke aa.e baiThe haiñ
ik azaan ho jaa.e jo imaam tak pahuñche
saas hai jahāñ-dīda kab bhalā ye chāhegī
ye bahū bhī is ghar ke intizām tak pahuñche
pakke pakke rangoñ kī kachchī Dor ke bal par
ik patang apnī bhī un ke baam tak pahuñche
kaise kaise andeshe un kabūtaroñ se haiñ
gumbad-e-shikasta par jo na shaam tak pahuñche
is lagam se chhuTe us lagam tak pahunche
hum pachas salon mein is maqam tak pahunche
muqtadi to bechaare kab ke aae baiThe hain
ek azan ho jae jo imam tak pahunche
sas hai jahan-dida kab bhala ye chahegi
ye bahu bhi is ghar ke intizam tak pahunche
pakke pakke rangon ki kachchi Dor ke bal par
ek patang apni bhi un ke baam tak pahunche
kaise kaise andeshe un kabutaron se hain
gumbad-e-shikasta par jo na sham tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.