Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is lamha-e-viran mein chup chand nazar chup

Rakhshanda Naved

is lamha-e-viran mein chup chand nazar chup

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    is lamha-e-vīrān meñ chup chāñd nazar chup

    ik raat hairat meñ giraftār nagar chup

    kis qatl meñ matlūb hue shahr ko ham log

    kyoñ karne lage apnī guzar aur basar chup

    kuchh bol zamāna se abhī aur bhī kuchh kah

    kyoñ lab pe vahī mahr-sifat bār-e-digar chup

    maiñ sāhil-e-dariyā se khaḌī dekh rahī huuñ

    sākin hai har ik lahr to har ek bhañvar chup

    kisī gahre añdhere tazabzub meñ ghirī huuñ

    ḳhāmosh hai dīvār yaqīñ vahm dar chup

    is lamha-e-viran mein chup chand nazar chup

    ek raat ki hairat mein giraftar nagar chup

    kis qatl mein matlub hue shahr ko hum log

    kyon karne lage apni guzar aur basar chup

    kuchh bol zamana se abhi aur bhi kuchh kah

    kyon lab pe wahi mahr-sifat bar-e-digar chup

    main sahil-e-dariya se khaDi dekh rahi hun

    sakin hai har ek lahr to har ek bhanwar chup

    kisi gahre andhere tazabzub mein ghiri hun

    KHamosh hai diwar yaqin wahm ka dar chup

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now