is liye teri hui dasht-hansai bhai
is liye terī huī dasht-hañsā.ī bhaa.ī
tū ne jaldī meñ zarā ḳhaak uḌaa.ī bhaa.ī
āḳhir-e-kār koī uzr use mil hī gayā
ye mohabbat bhī kisī kaam na aa.ī bhaa.ī
maiñ huuñ kone meñ paḌā TuuTā huā kangan aur
zindagī ek hasīna kī kalā.ī bhaa.ī
tab mirā saarā badan kaan meñ tabdīl huā
jab kisī ne mujhe āvāz lagā.ī bhaa.ī
avval avval ye zamīñ Thahrī rahī ek jagah
phir kisī aañkh ne putlī thī ghumā.ī bhaa.ī
is liye teri hui dasht-hansai bhai
tu ne jaldi mein zara KHak uDai bhai
aaKHir-e-kar koi uzr use mil hi gaya
ye mohabbat bhi kisi kaam na aai bhai
main hun kone mein paDa TuTa hua kangan aur
zindagi ek hasina ki kalai bhai
tab mera sara badan kan mein tabdil hua
jab kisi ne mujhe aawaz lagai bhai
awwal awwal ye zamin Thahri rahi ek jagah
phir kisi aankh ne putli thi ghumai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.