is liye to bujha nahin hun main
is liye to bujhā nahīñ huuñ maiñ
bujhne vaalā diyā nahīñ huuñ maiñ
jo bhī hai sab mirā muqaddar hai
zindagī se ḳhafā nahīñ huuñ maiñ
merī tā'zīm kyoñ kare duniyā
aadmī huuñ ḳhudā nahīñ huuñ maiñ
āñdhiy.oñ saañs chal rahī hai abhī
jal rahā huuñ bujhā nahīñ huuñ maiñ
bas zarā talḳhiyāñ mizāj meñ haiñ
dosto sar-phirā nahīñ huuñ maiñ
log jitnā burā batāte haiñ
yaar utnā burā nahīñ huuñ maiñ
mustarad kar de jis ko ye duniyā
vo ġhalat faisla nahīñ huuñ maiñ
mujh ko apnī talāsh hai 'ālam'
ḳhud se ab tak milā nahīñ huuñ maiñ
is liye to bujha nahin hun main
bujhne wala diya nahin hun main
jo bhi hai sab mera muqaddar hai
zindagi se KHafa nahin hun main
meri ta'zim kyon kare duniya
aadmi hun KHuda nahin hun main
aandhiyon sans chal rahi hai abhi
jal raha hun bujha nahin hun main
bas zara talKHiyan mizaj mein hain
dosto sar-phira nahin hun main
log jitna bura batate hain
yar utna bura nahin hun main
mustarad kar de jis ko ye duniya
wo ghalat faisla nahin hun main
mujh ko apni talash hai 'alam'
KHud se ab tak mila nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.