is miTTi ko aise khel khilaya humne
is miTTī ko aise khel khilāyā ham ne
ḳhud ko roz bigāḌā roz banāyā ham ne
jo sochā thā vo to ham se banā nahīñ phir
jo ban paayā us se jī bahlāyā ham ne
ġham ko phir se tanhā.ī ke saath meñ mil kar
hañste hañste bātoñ meñ uljhāyā ham ne
nā-mumkin thā is ko hāsil karnā phir bhī
puurī shiddat se ye ishq nibhāyā ham ne
us kī yādeñ bojh na ban jaa.eñ sāñsoñ par
so yādoñ se apnā dil dhaḌkāyā ham ne
kah dete to shāyad achchhe ho jaate par
ḳhāmoshī se apnā maraz baḌhāyā ham ne
us kā chehra dekh liyā thā ek dafa phir
in āñkhoñ se sāloñ qarz chukāyā ham ne
is miTTi ko aise khel khilaya hum ne
KHud ko roz bigaDa roz banaya hum ne
jo socha tha wo to hum se bana nahin phir
jo ban paya us se ji bahlaya hum ne
gham ko phir se tanhai ke sath mein mil kar
hanste hanste baaton mein uljhaya hum ne
na-mumkin tha is ko hasil karna phir bhi
puri shiddat se ye ishq nibhaya hum ne
us ki yaaden bojh na ban jaen sanson par
so yaadon se apna dil dhaDkaya hum ne
kah dete to shayad achchhe ho jate par
KHamoshi se apna maraz baDhaya hum ne
us ka chehra dekh liya tha ek dafa phir
in aankhon se salon qarz chukaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.