is nagri mein wo bhi magan tha
is nagrī meñ vo bhī magan thā
lohe jaisā jis kā badan thā
aaj hai vo ik ḳhushk shajar sā
kal jo rashk-e-sehn-e-chaman thā
jangal jangal us kī ḳhushbū
phuul vo kab mahdūd-e-chaman thā
mujh ko na aa.ī talḳh-navā.ī
shahd se mīThā merā suḳhan thā
dekhā na us meñ apnā chehra
mere ghar meñ jo darpan thā
rakhvāloñ ne aise luuTā
pal meñ ḳhālī sab maḳhzan thā
haath se vo bhī chhūT gayā hai
mehr-o-vafā kā jo dāman thā
is nagri mein wo bhi magan tha
lohe jaisa jis ka badan tha
aaj hai wo ek KHushk shajar sa
kal jo rashk-e-sehn-e-chaman tha
jangal jangal us ki KHushbu
phul wo kab mahdud-e-chaman tha
mujh ko na aai talKH-nawai
shahd se miTha mera suKHan tha
dekha na us mein apna chehra
mere ghar mein jo darpan tha
rakhwalon ne aise luTa
pal mein KHali sab maKHzan tha
hath se wo bhi chhuT gaya hai
mehr-o-wafa ka jo daman tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.