is qadar Duba hua dil dard ki lazzat mein hai
is qadar Duubā huā dil dard kī lazzat meñ hai
terā 'āshiq anjuman hī kyuuñ na ho ḳhalvat meñ hai
jazb kar lenā tajallī ruuh kī 'ādat meñ hai
husn ko mahfūz rakhnā 'ishq kī fitrat meñ hai
mahv ho jaatā huuñ aksar maiñ ki dushman huuñ tirā
dilkashī kis darja ai duniyā tirī sūrat meñ hai
uf nikal jaatī hai ḳhatre hī kā mauqa kyuuñ na ho
husn se betāb ho jaanā mirī fitrat meñ hai
us kā ik adnā karishma ruuh vo itnā 'ajīb
'aql isti.ajāb meñ hai falsafa hairat meñ hai
nuur kā taḌkā hai dhīmī ho chalī hai chāñdnī
hil rahā hai dil mirā masrūf vo zīnat meñ hai
is qadar Duba hua dil dard ki lazzat mein hai
tera 'ashiq anjuman hi kyun na ho KHalwat mein hai
jazb kar lena tajalli ruh ki 'adat mein hai
husn ko mahfuz rakhna 'ishq ki fitrat mein hai
mahw ho jata hun aksar main ki dushman hun tera
dilkashi kis darja ai duniya teri surat mein hai
uf nikal jati hai KHatre hi ka mauqa kyun na ho
husn se betab ho jaana meri fitrat mein hai
us ka ek adna karishma ruh wo itna 'ajib
'aql istiajab mein hai falsafa hairat mein hai
nur ka taDka hai dhimi ho chali hai chandni
hil raha hai dil mera masruf wo zinat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.