Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar hijr ke dhagon se nikal aaya tha

Muneer Jafri

is qadar hijr ke dhagon se nikal aaya tha

Muneer Jafri

MORE BYMuneer Jafri

    is qadar hijr ke dhāgoñ se nikal aaya thā

    maiñ tirī yaad ke reshoñ se nikal aaya thā

    Tiis uTThī thī kahīñ zer-e-zamīñ aur idhar

    shahr shahr makānoñ se nikal aaya thā

    raat ḳhāmoshī mire jism meñ yuuñ phailī thī

    lams shor bhī kānoñ se nikal aaya thā

    maiñ ne pheñkā thā use taish meñ aa kar lekin

    ashk tasvīr āñkhoñ se nikal aaya thā

    maiñ ne ik peḌ ke saa.e meñ duā māñgī thī

    aur parinda mirī poroñ se nikal aaya thā

    us ne āvāz taḳhtī pe mirā naam likhā

    aur maiñ lafz ke hoñToñ se nikal aaya thā

    maiñ ne qirtās pe rakkhī thī faqat aañkh 'munīr'

    ḳhvāb tahrīr darzoñ se nikal aaya thā

    is qadar hijr ke dhagon se nikal aaya tha

    main teri yaad ke reshon se nikal aaya tha

    Tis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar

    shahr ka shahr makanon se nikal aaya tha

    raat KHamoshi mere jism mein yun phaili thi

    lams ka shor bhi kanon se nikal aaya tha

    main ne phenka tha use taish mein aa kar lekin

    ashk taswir ki aankhon se nikal aaya tha

    main ne ek peD ke sae mein dua mangi thi

    aur parinda meri poron se nikal aaya tha

    us ne aawaz ki taKHti pe mera nam likha

    aur main lafz ke honTon se nikal aaya tha

    main ne qirtas pe rakkhi thi faqat aankh 'munir'

    KHwab tahrir ki darzon se nikal aaya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now