is qadar paemal hain hum log
is qadar pā.emāl haiñ ham log
aap apnī misāl haiñ ham log
be-niyāz-e-malāl haiñ ham log
laakh said-e-zavāl haiñ ham log
apne isyāñ kī sharmsārī se
paikar-e-infi.āl haiñ ham log
ik fasāna hai shaukat-e-māzī
dekh lo ḳhasta-hāl haiñ ham log
but-kade meñ azaañ na deñ to sahī
yādgārī bilāl haiñ ham log
kyuuñ pareshāñ hai ai dil-e-mahzūñ
daulat-e-lā-zavāl haiñ ham log
ham se raushan hai āsmān-e-adab
ġhairat-e-sad-hilāl haiñ ham log
ik muammā hai zindagī 'shātir'
kyā anokhā savāl haiñ ham log
is qadar paemal hain hum log
aap apni misal hain hum log
be-niyaz-e-malal hain hum log
lakh said-e-zawal hain hum log
apne isyan ki sharmsari se
paikar-e-infial hain hum log
ek fasana hai shaukat-e-mazi
dekh lo KHasta-haal hain hum log
but-kade mein azan na den to sahi
yaadgari bilal hain hum log
kyun pareshan hai ai dil-e-mahzun
daulat-e-la-zawal hain hum log
hum se raushan hai aasman-e-adab
ghairat-e-sad-hilal hain hum log
ek muamma hai zindagi 'shatir'
kya anokha sawal hain hum log
- Book : Maut-o-Hayat (Pg. 54)
- Author : Shatir Hakeemi
- Publication : Hazrat Shatir Hakeemi urdu acadmy Kamti Zila Nagpur (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.