is qadar tha ye gareban mera chaak miyan
is qadar thā ye garebān mirā chaak miyāñ
qais bhī dekh ke kahtā thā ḳhatarnāk miyāñ
surḳh āñkheñ nā phaTī aap kī poshāk miyāñ
hijr kaaTā hai bhalā aap ne kyā ḳhaak miyāñ
jāvedāñ ishq ho apnā ye duā māñgī thī
phir huā ishq kā anjām alamnāk miyāñ
pheñk aayā huuñ maiñ ik rail kī paTrī pe badan
ghar meñ rakhtā bhalā kab tak ḳhas-o-ḳhāshāk miyāñ
umr bhar mujh ko kisī ek kā hone na diyā
mujh se baḌh kar to mirā dil hī thā chālāk miyāñ
is qadar tha ye gareban mera chaak miyan
qais bhi dekh ke kahta tha KHatarnak miyan
surKH aankhen na phaTi aap ki poshak miyan
hijr kaTa hai bhala aap ne kya KHak miyan
jawedan ishq ho apna ye dua mangi thi
phir hua ishq ka anjam alamnak miyan
phenk aaya hun main ek rail ki paTri pe badan
ghar mein rakhta bhala kab tak KHas-o-KHashak miyan
umr bhar mujh ko kisi ek ka hone na diya
mujh se baDh kar to mera dil hi tha chaalak miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.