Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar

Jameela Khuda Bakhsh

is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ījād na kar

    ḳhaak ham ḳhāk-nashīnoñ barbād na kar

    ishq un mire pahlū meñ ye detā hai sadā

    bhuul apnī ḳhudī ġhair ko bhī yaad na kar

    sabr lāzim hai tujhe koh-e-mohabbat pe zarūr

    jazb-e-dil ko kahīñ taisha-e-farhād na kar

    sho.ala-e-hijr se ḳhuuñ ḳhushk huā hai us

    rag-e-āshiq pe sitam nashtar-e-fassād na kar

    qaid-e-ġham se kahīñ āzād bhī ho jān-e-hazīñ

    qatl karne meñ tāmul mire jallād na kar

    fasl-e-gul aa.ī hai shādāb huā hai gulshan

    bulbul-e-zār yaañ shevan-o-faryād na kar

    jazb-e-dil saath 'jamīla' nahīñ chhoḌegā

    ġham nahīñ ḳhizr rah-e-ishq meñ imdād na kar

    is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar

    KHak hum KHak-nashinon ki tu barbaad na kar

    ishq un ka mere pahlu mein ye deta hai sada

    bhul ja apni KHudi ghair ko bhi yaad na kar

    sabr lazim hai tujhe koh-e-mohabbat pe zarur

    jazb-e-dil ko tu kahin taisha-e-farhad na kar

    shoala-e-hijr se KHun KHushk hua hai us ka

    rag-e-ashiq pe sitam nashtar-e-fassad na kar

    qaid-e-gham se kahin aazad bhi ho jaan-e-hazin

    qatl karne mein tamul mere jallad na kar

    fasl-e-gul aai hai shadab hua hai gulshan

    bulbul-e-zar tu yan shewan-o-faryaad na kar

    jazb-e-dil sath 'jamila' ka nahin chhoDega

    gham nahin KHizr rah-e-ishq mein imdad na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now