is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi
is raaz ke bātin tak pahuñchā hī nahīñ koī
kyuuñ lauT ke ghar apne aayā hī nahīñ koī
ab shahr kī ḳhāmoshī vīrāne se miltī hai
āvāz lagā.ī to bolā hī nahīñ koī
har roz dikhā.ī deñ sab log vahīñ lekin
jab DhūñDne nikleñ to miltā hī nahīñ koī
hone se ki jin ke thā bastī kā bharam qaa.em
atrāf meñ shahroñ ke sahrā hī nahīñ koī
thak-hār ke aa baiThe us peḌ-tale āḳhir
jis peḌ-tale 'farruḳh' saayā hī nahīñ koī
is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi
kyun lauT ke ghar apne aaya hi nahin koi
ab shahr ki KHamoshi virane se milti hai
aawaz lagai to bola hi nahin koi
har roz dikhai den sab log wahin lekin
jab DhunDne niklen to milta hi nahin koi
hone se ki jin ke tha basti ka bharam qaem
atraf mein shahron ke sahra hi nahin koi
thak-haar ke aa baiThe us peD-tale aaKHir
jis peD-tale 'farruKH' saya hi nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.