is rang badalti duniya mein insan ki niyyat Thik nahin
is rang badaltī duniyā meñ insān kī niyyat Thiik nahīñ
niklā na karo tum saj-dhaj kar īmān kī niyyat Thiik nahīñ
ye dil hai baḌā hī dīvāna chheḌā na karo is pāgal ko
tum se na sharārat kar baiThe nādān kī niyyat Thiik nahīñ
kāñdhe se haTā lo sar apnā ye pyaar mohabbat rahne do
kashtī ko sa.mbhālo maujoñ meñ tūfān kī niyyat Thiik nahīñ
maiñ kaise ḳhudā-hāfiz kah duuñ mujh ko to kisī kā yaqīn nahīñ
chhup jaao hamārī āñkhoñ meñ bhagvān kī niyyat Thiik nahīñ
is rang badalti duniya mein insan ki niyyat Thik nahin
nikla na karo tum saj-dhaj kar iman ki niyyat Thik nahin
ye dil hai baDa hi diwana chheDa na karo is pagal ko
tum se na shararat kar baiThe nadan ki niyyat Thik nahin
kandhe se haTa lo sar apna ye pyar mohabbat rahne do
kashti ko sambhaalo maujon mein tufan ki niyyat Thik nahin
main kaise KHuda-hafiz kah dun mujh ko to kisi ka yaqin nahin
chhup jao hamari aankhon mein bhagwan ki niyyat Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.