is sadi mein to sadaqat par sitam aisa hua hai
is sadī meñ to sadāqat par sitam aisā huā hai
paañv chhoḌo par pasāre chhal kapaT phailā huā hai
haañ dhueñ pe qatl kā ilzām aa.egā yaqīnan
kyūñki ye har martaba kuchh ḳhaak kar paidā huā hai
ik taraf rakkhī mohabbat ik taraf hai fikr ya.anī
ik tarāzū meñ vazan kā ek hī palḌā huā hai
dekhte haiñ but sabhī ye mas.ala hairān ho kar
kis qadar yaañ aadmī ab aap hī maulā huā hai
raat bhar dikhtā rahā ik shaḳhs mujh ko ḳhvāb ban kar
soch kar vo ḳhvāb hī din aaj kā zaa.e.a huā hai
is sadi mein to sadaqat par sitam aisa hua hai
panw chhoDo par pasare chhal kapaT phaila hua hai
han dhuen pe qatl ka ilzam aaega yaqinan
kyunki ye har martaba kuchh KHak kar paida hua hai
ek taraf rakkhi mohabbat ek taraf hai fikr yani
ek taraazu mein wazan ka ek hi palDa hua hai
dekhte hain but sabhi ye masala hairan ho kar
kis qadar yan aadmi ab aap hi maula hua hai
raat bhar dikhta raha ek shaKHs mujh ko KHwab ban kar
soch kar wo KHwab hi din aaj ka zaea hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.