is se pahle kahin imkan ke minare par
is se pahle kahīñ imkān ke mīnāre par
ham mile hoñge kisī dūsre sayyāre par
yaar labrez nigāhoñ se ziyārat terī
raushnī aa.e gire chashm ke añdhiyāre par
aa tahayyur ke kisī baaġh utar jaate haiñ
aur milte haiñ kamālāt ke favvāre par
manzar-e-misr meñ yāqūb ko yūsuf dekhe
yuuñ rahe aañkh tire husn ke nazzāre par
haath aa jaa.e tabassum kā tire phuul kabhī
paañv paḌ jaa.e kabhī aah ke angāre par
shorish-e-shahr-e-mubāhāt kī zillat se pare
ek hujra hai mirā ijz ke chaubāre par
is se pahle kahin imkan ke minare par
hum mile honge kisi dusre sayyare par
yar labrez nigahon se ziyarat teri
raushni aae gire chashm ke andhiyare par
aa tahayyur ke kisi bagh utar jate hain
aur milte hain kamalat ke fawware par
manzar-e-misr mein yaqub ko yusuf dekhe
yun rahe aankh tere husn ke nazzare par
hath aa jae tabassum ka tere phul kabhi
panw paD jae kabhi aah ke angare par
shorish-e-shahr-e-mubahat ki zillat se pare
ek hujra hai mera ijz ke chaubare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.