is se pahle ki be-wafa ho jaen
is se pahle ki be-vafā ho jaa.eñ
kyuuñ na ai dost ham judā ho jaa.eñ
tū bhī hiire se ban gayā patthar
ham bhī kal jaane kyā se kyā ho jaa.eñ
tū ki yaktā thā be-shumār huā
ham bhī TūTeñ to jā-ba-jā ho jaa.eñ
ham bhī majbūriyoñ kā uzr kareñ
phir kahīñ aur mubtalā ho jaa.eñ
ham agar manzileñ na ban paa.e
manziloñ tak kā rāstā ho jaa.eñ
der se soch meñ haiñ parvāne
raakh ho jaa.eñ yā havā ho jaa.eñ
ishq bhī khel hai nasīboñ kā
ḳhaak ho jaa.eñ kīmiyā ho jaa.eñ
ab ke gar tū mile to ham tujh se
aise lipTeñ tirī qabā ho jaa.eñ
bandagī ham ne chhoḌ dī hai 'farāz'
kyā kareñ log jab ḳhudā ho jaa.eñ
is se pahle ki be-wafa ho jaen
kyun na ai dost hum juda ho jaen
tu bhi hire se ban gaya patthar
hum bhi kal jaane kya se kya ho jaen
tu ki yakta tha be-shumar hua
hum bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaen
hum bhi majburiyon ka uzr karen
phir kahin aur mubtala ho jaen
hum agar manzilen na ban pae
manzilon tak ka rasta ho jaen
der se soch mein hain parwane
rakh ho jaen ya hawa ho jaen
ishq bhi khel hai nasibon ka
KHak ho jaen kimiya ho jaen
ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise lipTen teri qaba ho jaen
bandagi hum ne chhoD di hai 'faraaz'
kya karen log jab KHuda ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.