is se pahle ki koi aur haTa de mujhko
is se pahle ki koī aur haTā de mujh ko
apne pahlū se kahīñ duur biThā de mujh ko
maiñ suḳhan-fahm kisī vasl kā muhtāj nahīñ
chāñdnī raat hai ik sher sunā de mujh ko
ḳhud-kushī karne ke mausam nahīñ aate har roz
zindagī ab koī rasta na dikhā de mujh ko
ek ye zaḳhm hī kaafī hai mire jiine ko
chārāgar Thiik na hone kī davā de mujh ko
yuuñ to sūraj huuñ magar fikr lagī rahtī hai
vo charāġhoñ ke bharam meñ na bujhā de mujh ko
tujh ko ma.alūm nahīñ ishq kise kahte haiñ
apne siine pe nahīñ dil meñ jagah de mujh ko
har na.e shaḳhs pe khul jaane kī aadat 'mohan'
dene vaale se kaho thoḌī anā de mujh ke
is se pahle ki koi aur haTa de mujh ko
apne pahlu se kahin dur biTha de mujh ko
main suKHan-fahm kisi wasl ka muhtaj nahin
chandni raat hai ek sher suna de mujh ko
KHud-kushi karne ke mausam nahin aate har roz
zindagi ab koi rasta na dikha de mujh ko
ek ye zaKHm hi kafi hai mere jine ko
chaaragar Thik na hone ki dawa de mujh ko
yun to suraj hun magar fikr lagi rahti hai
wo charaghon ke bharam mein na bujha de mujh ko
tujh ko malum nahin ishq kise kahte hain
apne sine pe nahin dil mein jagah de mujh ko
har nae shaKHs pe khul jaane ki aadat 'mohan'
dene wale se kaho thoDi ana de mujh ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.