is se pahle meri KHwahish mujhe ruswa kar de
is se pahle mirī ḳhvāhish mujhe rusvā kar de
izzat-e-nafs ko ḳhāliq mire zinda kar de
mujh se duniyā kī ye hālat nahīñ dekhī jaatī
mere mālik mere ehsās ko andhā kar de
dekh achchhā nahīñ ahbāb kī ġhībat karnā
ye amal tujh ko kisī roz na tanhā kar de
aa na jaa.e kahīñ lahje meñ takabbur yā-rab
mere baḌhte hue qad ko zarā chhoTā kar de
shādmānī meñ tirī yaad nahīñ aatī hai
koī ġham mujh ko atā mere masīhā kar de
is se pahle meri KHwahish mujhe ruswa kar de
izzat-e-nafs ko KHaliq mere zinda kar de
mujh se duniya ki ye haalat nahin dekhi jati
mere malik mere ehsas ko andha kar de
dekh achchha nahin ahbab ki ghibat karna
ye amal tujh ko kisi roz na tanha kar de
aa na jae kahin lahje mein takabbur ya-rab
mere baDhte hue qad ko zara chhoTa kar de
shadmani mein teri yaad nahin aati hai
koi gham mujh ko ata mere masiha kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.