is se ziyaada kya kahun maula ki shan mein
is se ziyāda kyā kahūñ maulā kī shaan meñ
paidā hue haiñ aap ḳhudā ke makān meñ
jab se paḌhā qasīda hai maulā kī shaan kā
tāqat sī aa ga.ī hai mire jism-o-jān meñ
mushkil-kushā haiñ aate haiñ mushkil-kushā.ī ko
un ko pukāre koī kisī bhī zabān meñ
karne lage tavāf farishte makān kā
maiñ zikr kar rahā thā alī kā makān meñ
is se ziyaada kya kahun maula ki shan mein
paida hue hain aap KHuda ke makan mein
jab se paDha qasida hai maula ki shan ka
taqat si aa gai hai mere jism-o-jaan mein
mushkil-kusha hain aate hain mushkil-kushai ko
un ko pukare koi kisi bhi zaban mein
karne lage tawaf farishte makan ka
main zikr kar raha tha ali ka makan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.