is shahr mein kuchh logon se pahchan abhi hai
is shahr meñ kuchh logoñ se pahchān abhī hai
yā'nī ki mire hone kā imkān abhī hai
ik she'r se ḳhā.if huā jaatā hai zamāna
us mez pe rakkhā mirā dīvān abhī hai
ye shor banegā kisī bekas kā tarāna
duniyā mirī zanjīr se hairān abhī hai
ye hijr musalsal hai magar vasl kā imkān
maiñ kah to rahā huuñ nā mirī jaan abhī hai
us ne mirī āvāz pe labbaik pukārā
is ālam-e-ġhurbat meñ ik insān abhī hai
lailā-e-suḳhan tujh pe bhī hairat hai ki terā
dil dard ke ehsās se anjān abhī hai
majnūñ se ye kahnā ki mire shahr meñ aa jaa.e
vahshat ke liye ek bayābān abhī hai
is shahr mein kuchh logon se pahchan abhi hai
ya'ni ki mere hone ka imkan abhi hai
ek she'r se KHaif hua jata hai zamana
us mez pe rakkha mera diwan abhi hai
ye shor banega kisi bekas ka tarana
duniya meri zanjir se hairan abhi hai
ye hijr musalsal hai magar wasl ka imkan
main kah to raha hun na meri jaan abhi hai
us ne meri aawaz pe labbaik pukara
is aalam-e-ghurbat mein ek insan abhi hai
laila-e-suKHan tujh pe bhi hairat hai ki tera
dil dard ke ehsas se anjaan abhi hai
majnun se ye kahna ki mere shahr mein aa jae
wahshat ke liye ek bayaban abhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.