is shahr-e-be-awaz mein wo raat bhi guzri
is shahr-e-be-āvāz meñ vo raat bhī guzrī
jab maiñ ne kahā aur ḳhudī maiñ ne sunā bhī
shāḳhoñ pe koī phuul kyā pattā bhī nahīñ hai
mausam ke badalte hī badaltī hai havā bhī
ab us kī ḳhunuk chhāñv hai jaltā huā sahrā
kis moḌ pe sūraj huī dīvār-e-anā bhī
peḌoñ kā lahū un kī jaḌeñ chuus rahī haiñ
suntā huuñ ki is dasht se guzrī thī ghaTā bhī
ai gūñjtī āvāz ke ḳhāmosh pujārī
maiñ ne to pukārā thā magar tū ne sunā bhī
is shahr-e-be-awaz mein wo raat bhi guzri
jab main ne kaha aur KHudi main ne suna bhi
shaKHon pe koi phul kya patta bhi nahin hai
mausam ke badalte hi badalti hai hawa bhi
ab us ki KHunuk chhanw hai jalta hua sahra
kis moD pe suraj hui diwar-e-ana bhi
peDon ka lahu un ki jaDen chus rahi hain
sunta hun ki is dasht se guzri thi ghaTa bhi
ai gunjti aawaz ke KHamosh pujari
main ne to pukara tha magar tu ne suna bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.