is shahr-e-nigaran mein koi tujh sa nahin hai
is shahr-e-nigārāñ meñ koī tujh sā nahīñ hai
maiñ kaise batā.ūñ tujhe tū kitnā hasīñ hai
phūloñ kā gudāz ik tire paikar kā havāla
mahtāb se baḌh kar tirī raḳhshanda jabīñ hai
ḳhushbū tire sāñsoñ kī rachī hai rag-o-pai meñ
mahsūs yahī hotā hai tū mere qarīñ hai
kam milne kā ehsās-e-garāñ lagtā hai terā
ab lutf-o-karam bhī tirā pahle sā nahīñ hai
vo jhiil kī pahnā.ī meñ ik qatra hai lekin
ruk jaatā hai jab palkoñ pe aa kar to nagīñ hai
zikr-e-ġham-e-dil auroñ se achchhā nahīñ lagtā
ye dard-e-mohabbat to mire dil kā makīñ hai
hañstā huā miltā thā sadā bazm meñ 'tanhā'
ab jaane vo kyoñ itnā udaas aur hazīñ hai
is shahr-e-nigaran mein koi tujh sa nahin hai
main kaise bataun tujhe tu kitna hasin hai
phulon ka gudaz ek tere paikar ka hawala
mahtab se baDh kar teri raKHshanda jabin hai
KHushbu tere sanson ki rachi hai rag-o-pai mein
mahsus yahi hota hai tu mere qarin hai
kam milne ka ehsas-e-garan lagta hai tera
ab lutf-o-karam bhi tera pahle sa nahin hai
wo jhil ki pahnai mein ek qatra hai lekin
ruk jata hai jab palkon pe aa kar to nagin hai
zikr-e-gham-e-dil auron se achchha nahin lagta
ye dard-e-mohabbat to mere dil ka makin hai
hansta hua milta tha sada bazm mein 'tanha'
ab jaane wo kyon itna udas aur hazin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.