is siyasat mein miyan aabaad ho jaane ke baad
is siyāsat meñ miyāñ ābād ho jaane ke ba.ad
mar ga.e kirdār zindabād ho jaane ke ba.ad
ham se achchhā kaun shā.ir thā yahāñ lekin janāb
fikr-o-fan jaatā rahā ustād ho jaane ke ba.ad
va.ada karte the vafā jab tak pareshāñ-hāl the
jaane kyuuñ nazreñ badal liiñ shaad ho jaane ke ba.ad
nā-gavārī hai tujhe maañ baap ke andāz se
sab samajh aa jā.egā aulād ho jaane ke ba.ad
ishq tum se ho gayā to qabr apnī khod lī
aur ham karte bhī kyā farhād ho jaane ke ba.ad
kyā hamāre ḳhvāb the daur-e-ġhulāmī meñ 'bilāl'
kis taraf ham chal diye āzād ho jaane ke ba.ad
is siyasat mein miyan aabaad ho jaane ke baad
mar gae kirdar zindabaad ho jaane ke baad
hum se achchha kaun shair tha yahan lekin janab
fikr-o-fan jata raha ustad ho jaane ke baad
wada karte the wafa jab tak pareshan-haal the
jaane kyun nazren badal lin shad ho jaane ke baad
na-gawari hai tujhe man bap ke andaz se
sab samajh aa jaega aulad ho jaane ke baad
ishq tum se ho gaya to qabr apni khod li
aur hum karte bhi kya farhad ho jaane ke baad
kya hamare KHwab the daur-e-ghulami mein 'bilal'
kis taraf hum chal diye aazad ho jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.