is taraf chashm-e-iltifat nahin
is taraf chashm-e-iltifāt nahīñ
jā.iye ḳhair koī baat nahīñ
shaiḳh ye mausam-e-bahārāñ hai
in dinoñ ḳhūn-e-ḳhvāhishāt nahīñ
yuuñ vo milne ko ab bhī milte haiñ
par vo pahlā sā iltifāt nahīñ
sirf apne hī vāste jiinā
apnā ye maqsad-e-hayāt nahīñ
rañj ho yā ḳhushī ho ai 'rahmat'
koī shai ho yahāñ sabāt nahīñ
is taraf chashm-e-iltifat nahin
jaiye KHair koi baat nahin
shaiKH ye mausam-e-bahaaran hai
in dinon KHun-e-KHwahishat nahin
yun wo milne ko ab bhi milte hain
par wo pahla sa iltifat nahin
sirf apne hi waste jina
apna ye maqsad-e-hayat nahin
ranj ho ya KHushi ho ai 'rahmat'
koi shai ho yahan sabaat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.